Saturday, 13 October 2018

MAIN NA THAHRUN NA JAAN TU THAHRE


Main na thahrun na jaan tu thahre
Kaun lamhon ke ru-ba-ru thahre

Na guzarne pe zindagi guzri
Na thaharne pe char-su thahre

Hai meri bazm-e-be-dili bhi ajiib
Dil pe rakkhun jahan subu thahre

Main yahan muddaton mei aaya huun
Ek hangama ku-ba-ru thahre

Mahfil-e-rukhsat-e-hamesha hai
Aao ik hashr-e-ha-o-hu thahre

Ik tavajjoh ajab hai samton mei
Ki na bolun to guftagu thahre

Kaj-ada thi bohot ummiid magar
Ham bhi 'Jaun' ek hila-ju thahre

Ek chak-e-barhngi hai vajud
Pairahan ho to be-rafu thahre

Main jo huun kya nahin huun main khud bhi
Khud se baat aaj du-badu thahre

Bagh-e-jan se mila na koi samar
'Jaun' ham to numu numu thahre

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.