Mahram nahin hai tu hi nava-ha-e-raz ka
Yaan varna jo hijab hai parda hai saaz ka
Rang-e-shikasta subh-e-bahar-e-nazara hai
Ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka
Tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez
Main aur dukh teri mizha-ha-e-daraz ka
Sarfa hai zabt-e-ah mei mera vargarna mei
Toama huun ek hi nafas-e-jan-gudaz ka
Hain bas-ki-josh-e-bada se shishe uchhal rahe
Har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka
Kavish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz
Nakhun pe qarz is girah-e-nim-baz ka
Taraj-e-kavish-e-gham-e-hijran huwa 'Asad'
Siina ki tha dafina gohar-ha-e-raz ka


No comments
Post a Comment