Saturday, 13 October 2018

KOI DAM BHI MAIN KAB ANDAR RAHA HUN


Koi dam bhi main kab andar raha hun
Liye hain saans aur bahar raha hun

Dhuen mei saans hain sanson mei pal hain
Main raushan-dan tak bas mar raha hun

Fana har dam mujhe ginti rahi hai
Main ik dam ka tha aur din bhar raha hun

Zara ik saans roka to laga yun
Ki itni der apne ghar raha hun

Ba-juz apne mayassar hai mujhe kya
So khud se apni jeben bhar raha hun

Hamesha zakhm pahunche hain mujhi ko
Hamesha main pas-e-lashkar raha hun

Lita de niind ke bistar pe ai raat
Main din bhar apni palkon par raha hun

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.