Saturday 13 October 2018

JO GUZAR DUSHMAN HAI US KA RAHGUZAR RAKKHA HAI NAAM


Jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai naam
Zaat se apni na hilne ka safar rakkha hai naam

Pad gaya hai ik bhavar us ko samajh baithe hain ghar
Lahr uthi hai lahr ka divar-o-dar rakkha hai naam

Naam jis ka bhi nikal jaae usi par hai madar
Us ka hona ya na hona kya, magar rakkha hai naam

Ham yahan khud aae laaya nahin koi hamen
Aur khuda ka ham ne apne naam par rakkha hai naam

Chak-e-chaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki
Main ne apne har nafs ka bakhiya-gar rakkha hai naam

Mera siina koi chhalni bhi agar kar de to kya
Main ne to ab apne siine ka sipar rakkha hai naam

Din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mei
Jaag kar khvabon ne tera raat bhar rakkha hai naam

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.