Tuesday, 16 October 2018

HASRAT-E-DID MEI GUZARAN HAIN ZAMANE KAB SE


Hasrat-e-did mei guzaran hain zamane kab se
Dasht-e-ummid mei gardan hain divane kab se

Der se aankh pe utra nahin ashkon ka azaab
Apne zimme hai tera qarz na jaane kab se

Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka hisab
Dard aaya nahin darbar sajane kab se

Sar karo saaz ki chheden koi dil-soz ghazal
Dhundta hai dil-e-shorida bahane kab se

Pur karo jaam ki shayad ho isi lahza ravan
Rok rakkha hai jo ik tiir qaza ne kab se

'Faiz' phir kab kisi maqtal mei karenge abad
Lab pe viran hain shahidon ke fasane kab se

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.