Dhunda na paiye jo is vaqt mei sau zar hai
Phir chaah jis ki mutlaq hai hi nahin hunar hai
Har-dam qadam ko apne rakh ehtiyat se yaan
Ye kar-gah saari dukkan-e-shishagar hai
Dhaya jinnon ne us ko un par kharabi aai
Jaana gaya oosi se dil bhi kaso ka ghar hai
Tujh bin shakeb kab tak be-faeda huun nalan
Mujh naala kash ke to ai fariyad-ras kidhar hai
Said-afgano hamare dil ko jigar ko dekho
Ik tiir ka hadaf hai ik tegh ka sipar hai
Ahl-e-zamana tahte ik taur par nahin hain
Har aan martabe se apne unhen safar hai
Kaafi hai mahr qatil mahzar pe khoon ke mere
Phir jis jagah ye jaave us ja hi moatabar hai
Teri gali se bach kar kyun mehr-o-mah na niklen
Har koi janta hai is raah mei khatar hai
Ve din gae ki aansu rote the 'Meer' ab to
Ankhon mei lakht-e-dil hai ya para-e-jigar hai


No comments
Post a Comment