Baghair dil ki ye qimat hai saare aalam ki
Kaso se kaam nahin rakhti jins aadam ki
Koi ho mahram shokhi tera to mei puchhun
Ki bazm-e-aish jahan kya samajh ke barham ki
Hamen to baagh ki taklif se muaaf rakho
Ki sair-o-gasht nahin rasm ahl-e-matam ki
Tanik to lutf se kuchh kah ki jan-ba-lab huun main
Rahi hai baat meri jaan ab koi dam ki
Guzarne ko to kaj-o-vakaj apni guzre hai
Jafa jo un ne bohot ki to kuchh vafa kam ki
Ghire hain dard-o-alam mei firaq ke aise
Ki subh-e-id bhi yaan shaam hai mahran ki
Qafas mei 'Meer' nahin josh daagh siine par
Havas nikali hai ham ne bhi gul ke mausam ki


No comments
Post a Comment