Monday, 8 October 2018

AB HAAL APNA US KE HAI DIL-KHVAH


Ab haal apna us ke hai dil-khvah
Kya puchhte ko alhamdulillah

Mar jao koi parva nahin hai
Kitna hai maghrur allah allah

Pir-e-mughan se be-etiqadi
Astaghfirullah astaghfirullah

Kahte hain us ke tu muh lagega
Ho yun hi yarab jun hai ye afvah

Hazrat se us ki jaana kahan hai
Ab mar rahega yahan banda dargah

Sab aql khoe hai raah-e-mohabbat
Ho khizr dil mei kaisa hi gumrah

Mujrim huwe ham dil de ke warna
Kis ko kaso se hoti nahin chaah

Kya kya na rijhen tum ne pachhain
Achcha rijhaya ai mehrban aah

Guzre hai dekhen kyukar hamari
Us bewafa se ne rasm ne raah

Thi khwahish-e-dil rakhna hamaail
Gardan mei us ki har gah-o-be-gah

Us par ki tha wo shah-e-rag se aqrab
Hargiz na pahuncha ye dast-e-kotah

Hai ma-siva kya jo 'Meer' kahiye
Agah saare us se hain agah

Jalve hain us ke shanen hain us ki
Kya roz kya khor kya raat kya maah

Zahir ki batin awwal ki aakhir
Allah Allah Allah Allah

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.