Husn ghamze ki kashkash se chhuta mere baad
Baare aram se hain ahl-e-jafa mere baad
Mansab-e-sheftagi ke koi qabil na raha
Hui mazuli-e-andaz-o-ada mere baad
Shama bujhti hai to us mei se dhuaan uthta hai
Shola-e-ishq siyah-posh hua mere baad
Khoon hai dil khaak mei ahval-e-butan par yaani
Un ke nakhun huwe mohtaj-e-hina mere baad
Dar-khur-e-arz nahin jauhar-e-badad ko ja
Nigah-e-naz hai surme se khafa mere baad
Hai junun ahl-e-junun ke liye aghosh-e-vidaa
Chaak hota hai gareban se juda mere baad
Kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
Hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere baad
Aae hai bekasi-e-ishq pe rona 'Ghalib'
Kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad
Thi nigah meri nihan-khana-e-dil ki naqqab
Be-khatar jeete hain arbab-e-riya mere baad
Tha maen guldasta-e-ahbab ki bandish ki giyah
Mutafarriq huwe mere rufaqa mere baad


No comments
Post a Comment