Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghaer
Janega ab bhi tu na mera ghar kahe baghaer
Kahte hain jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
Janun kisi ke dil ki main kyunkar kahe baghaer
Kaam us se aa pada hai ki jis ka jahan mei
Leve na koi naam sitamgar kahe baghaer
Ji mei hi kuchh nahin hai hamare vagarna ham
Sar jaae ya rahe na rahen par kahe baghaer
Chhodunga maen na us but-e-kafir ka punja
Chhode na khalq go mujhe kafar kahe baghaer
Maqsad hai naz-o-ghamza wale guftugu mei kaam
Chalta nahin hai dashna-o-khanjar kahe baghaer
har chand ho mushahida-e-haq ki guftugu
Banti nahin hai bada-o-saghar kahe baghaer
Bahra hun maen to chahiye duna ho iltifat
Sunta nahin hun baat mukarrar kahe baghaer
'Ghalib' na kare huzur mei tu baar baar arz
Zahir hai tera haal sab un par kahe baghaer


No comments
Post a Comment