Darbar mei ab satvat-e-shahi ki alamat
Darban ka asa hai ki musannif ka qalam hai
Awaara hai phir koh-e-nida par jo basharat
Tamhid-e-masarrat hai ki tul-e-shab-e-gham hai
Jis dhajji ko galiyon mei liye phirte hain tiflan
Ye mera gareban hai ki lashkar ka alam hai
Jis noor se hai shahr ki deewar darakhshan
Ye khoon-e-shahidan hai ki zar-khana-e-jam hai
Halqa kiye baithe raho ek shama ko yaaro
Kuchh roshni baaqi to hai har-chand ki kam hai

