Ajab nashaat se jallad ke chale hain ham aage
Ki apne saae se sar paanv se hai do qadam aage
Qaza ne tha mujhe chaha kharab-e-bada-e-ulfat
Faqat kharab likha bas na chal saka qalam aage
Gham-e-zamana ne jhadi nashaat-e-ishq ki masti
Warna ham bhi uthate the lazzat-e-alam aage
Khuda ke waste daad us junoon-e-shauq ki dena
Ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se ham aage
Ye umr bhar jo preshaniyan uthai hain ham ne
Tumhare aaiyo ai turrah-ha-e-kham-ba-kham aage
Dil o jigar mei pur-afshaan jo ek mauja-e-khoon hai
Ham apne zom mei samjhe huwe the us ko dam aage
Qasam janaze pe aane ki mere khate hain 'Ghalib'
Hamesha khate the jo meri jaan ki qasam aage

